Rukhsat Hua To Aankh Mila Kr NahiN Gaya
rukhsat hua to aankh mila kr nahiN gaya
wo kyuN gya hy ye bhi bata kr nahiN gaya
wo youN gya k bad-e-saba yaad aa gaei
ehsaas tak bhi ham ko dila kr nahiN gaya
youN lag raha hy jesy abhi laot aa'ay ga
jaty hu'ay charagh bujha kr nahiN gaya,
bas ik lakeer khainch gya dermiyan meiN,
deewar raasty meN bana kr nahiN gaya,
shayad wo mil hi ja'ay magar justuju hy shart,
wo apny naqsh-e-paa to miTa kr nahiN gaya
ghar meiN hy aaj tak wohi khushbu basi hui,
lagta hy youN k jesy wo aa kr nahiN gaya
tab tak to phool jesi hi taza thi us ki yaad
jab tak wo pattioN ko juda kr nahiN gaya
rehny diya na us ne kisi kaam ka mujhy
aur khak meiN bhi mujh ko mila kr nahiN gaya
wesi hi be-talab hy abhi meri zindgi
wo khaar-o-khas meiN aag laga kr nahiN gaya
Shehzad ye gila hi raha us ki zaat se,
jaty hu'ay wo koi gila kr nahiN gaya
No comments:
Post a Comment