Saad Ullah Shah

Us Nay Bas Itna Kaha Me Nay Socha Kuch Nahi


us nay bas itna kaha me nay socha kuch nahi

main when pathra gaya me ny socha kuch nahi


kon hay, kesa hay, muj ko is say kaya garaz

wo mujay acha laga, main nay socha kuch nahi


me b insan tha, ek khami reh gai

me nay jis ko dil diya, me ny socha kuch nahi


thi hararat khoon main, ankh dhoka kha gai

khoon jalta b raha, me ny socha kuch nahi


dosti aur dushmani ek had par kuch nahi

ajnabi tha ashna,  me ny socha kuch nahi


nafarten thin 'Saad' jee chahton k darmiyan

chahton me keya hua, main nay socha kuch nahi



Mujay Acha Nahi Lagta


mujay acha nahi lagta

koi tuj sa nahi lagta


jisay apna samajta hun

wohe apna nahi lagta


me esay bat sunta hun

k tu jhota nahi lagta


main sehra hun lab darya

magar payasa nahi lagta


ye tuj say dosti apni

kabi socha nahi lagta


ye jo tery pas rakha hy

wo dil mera nahi lagta


kaho jo 'Saad' kehna hay

wo ab wesa nahi lagta



Baat To Tab Hay Bin Kahay Dil Ki Usay Suna K Youn


baat to tab hay bin kahay dil ki usay suna k youn

khud hi dharak dharak k dil denay lagay sada k youn


main nay kaha k kis tarha jeetay hain log ishaq main

us nay charaag tham k lou ko barha diya k youn


aag laga na dain kahin dard Dil-o-Dimag main

shola husan ko na day, yar kabi hawa kahe youn


us ko na apna keh sakon aur na door reh sakon

wo b to chahta tha ye mujh ko saza milay k youn


us nay kaha k zindagi pholon ki saij kis tarha hay

main nay kaha ay naram kho! phool say lab hala k youn


us nay kaha k Saad je! lagtay hain zakham kis tarha

main nay kaha k Jaan-e-Man! thora sa muskara k youn



Dehshat Ki Payas Barhanay K Liay Ay Thay


dehshat ki payas barhanay k liay ay thay

abar b aag lagany k liay ay thay


esa lagta hay k ham he say koi bhool hui

tum kisi aur zamanay k liay ay thay


mojh aur Mojh-e-Hawa Aab-e-Rawan Qos-e-Qazah

taray ankhon main nahanay k liay ay thay


apnay matlab k siwa log kahan miltay hain

ab k b saanp khzanay k liay ay thay


apni pathrai hui ankhon ko jhapkain kesy

jo tera aks churanay k liay ay thay


log kehtay he rahay Saad batao kuch to

ham k bas ashaq nibhanay k liay niklay thay





No comments:

Post a Comment